- Captain and Vice Captain Choices in Dream 11
Hello Friends, ek baar fir mai aap logo ke liye ek blog likh raha hu jisme hum ye janenge ki kis tarah se ham hamari team ke best Captain and Vice Captain select kar sakte hain.
Sabse pahle hum baat karte Hain SL yani small leagues ki jisme aap 2,3,4,6 ya 10 logo ki league ko join Karte ho. Now yaha pe ager aapne planning achi Kari hai to aap 95% win Kar jaoge (best planning ke liye mere first blog ko read karo jaha Maine Bataya hai ki kaise best dream team bana sakte Hain), Kai log to sirf h2h ya aisi SL he khelte Hain kyoki wo jante Hain ki Kya steps follow karne Hain. Yaha pe winning amount depend karta hai aapki investment pe, more investment more profit, less investment less profit. Yaha per aapko best in form batsman ya all rounder ko c and vc banana hai, dream 11 me sare stats hote Hain ek player ke. For example, rishabh ke last given points, isi tarah se grand league me aap check Kar sakte ho kaun best in form hai.
Fir aati hai leagues jaha pe aap 50 logo Tak khelte ho use kahte Hain medium league. 50 se uper and 1000, 2000 Tak ke logo me join Karte ho to wo hai mini Grand league. In dono he case me aapko littile risk ki jarurat hai, jaise Maine apne first blog me Bataya hai usi tarah se. Yaha pe aapko C and VC usi tarah se banane hai jaise SL me banaye Hain but try karo ki un ko c and vc banaye jinhe log nahi bana rahe, Matlab jinhe Kam logo ne liya hai.
Finally aati hai Grand league jisme probability Kam hoti hai winning ki kyoki completion bahut jyada hota hai, yahi aapko Sabse jyada planning and risk taking factors ki jarurat hai, ye bhi mere pahle wale blog me define hai. GL jitne ke liye hame sirf apne opponent ki filtering karni hai and we can win the grand league as well. Grand league win karne ke liye guys apna C hamesha inform ko rakho and VC ya to AR ko ya fir aise bowler ko Jo batting karne thoda pahle aata hai.
Thanks guys mere blog ko read karne ke liye, ager acha response aaya to mai promise karta hu ki Mai aapko best knowledge and analysis karke dunga jisse aap best team khud se bana sakkenge and khud pe proud feel karenge.
Apka friend Kamal
No comments:
Post a Comment